viran thi raat chand ka patthar siyah tha 
ya parda-e-nigah sarasar siyah tha 
TuTe hue makan ki ada dekhta koi 
sarsabz thi munDer kabutar siyah tha 
main Dubta jazira tha maujon ki mar par 
chaaron taraf hawa ka samundar siyah tha 
nashsha chaDha to raushniyan si dikhai din 
hairan hun ki maut ka saghar siyah tha 
wo KHwab tha ki wahima bas itna yaad hai 
bahar safed o surKH tha andar siyah tha 
chamka kahin na ret ka zarra bhi raat-bhar 
sahra-e-intizar barabar siyah tha 
is tarha baadalon ki chhaten chhai thin 'zafar' 
sahmi hui zamin thi manzar siyah tha
        Ghazal
Viran thi raat chand ka patthar siyah tha
Zafar Iqbal

