viran bahut hai KHwab-mahal jagte raho
ham-sae mein khaDi hai ajal jagte raho
jis par nisar nargis-e-shahla ki tamkenat
wo aankh is ghaDi hai sajal jagte raho
ye lamha-e-umid bhi hai waqt-e-KHauf bhi
hasil na hoga is ka badal jagte raho
jin bazuon pe chaaragari ka madar tha
wo to kabhi ke ho gae shal jagte raho
zehnon mein tha irada-e-shab-KHun kal talak
ab ho raha hai ru-ba-amal jagte raho
jis raat mein na hijr ho ne wasl 'ajmali'
us raat mein kahan ki ghazal jagte raho
Ghazal
Viran bahut hai KHwab-mahal jagte raho
Siraj Ajmali