اردو हिंदी
Wida-e-yar ka lamha Thahar gaya mujh mein | Shaahi Shayari
wida-e-yar ka lamha Thahar gaya mujh mein

Ghazal

Wida-e-yar ka lamha Thahar gaya mujh mein

Rehman Faris

;

wida-e-yar ka lamha Thahar gaya mujh mein
main KHud to zinda raha waqt mar gaya mujh mein

sukut-e-sham mein chiKHen sunai deti hain
tu jate jate ajab shor bhar gaya mujh mein

wo pahle sirf meri aankh mein samaya tha
phir ek rose ragon tak utar gaya mujh mein

kuchh aise dhyan mein chehra tera tulua hua
ghurub-e-sham ka manzar nikhar gaya mujh mein

main us ki zat se munkir tha aur phir ek din
wo apne hone ka elan kar gaya mujh mein

khanDar samajh ke meri sair karne aaya tha
gaya to mausam-e-gham phul dhar gaya mujh mein

gali mein gunji KHamoshi ki chiKH raat ke waqt
tumhaari yaad ka bachcha sa Dar gaya mujh mein

bata main kya karun dil nam ke is aangan ka
teri umid pe jo saj-sanwar gaya mujh mein

ye apne apne muqaddar ki baat hai 'faris'
main is mein simTa raha wo bikhar gaya mujh mein