اردو हिंदी
Wazn ab un ka muayyan nahin ho sakta kuchh | Shaahi Shayari
wazn ab un ka muayyan nahin ho sakta kuchh

Ghazal

Wazn ab un ka muayyan nahin ho sakta kuchh

Akbar Allahabadi

;

wazn ab un ka muayyan nahin ho sakta kuchh
barf ki tarah musalman ghule jate hain

dagh ab un ki nazar mein hain sharafat ke nishan
nai tahzib ki maujon se dhule jate hain

ilm ne rasm ne mazhab ne jo ki thi bandish
TuTi jati hai wo sab band khule jate hain

shaiKH ko wajd mein lai hain piyanon ki gaten
pech dastar-e-fazilat ke khule jate hain