watan-nasib kahan apni qismaten hongi
jahan bhi jaenge hum sath hijraten hongi
kabhi to sahib-e-diwar-o-dar banenge hum
kabhi to sar pe hamare nai chhaten hongi
ye ashk tere mere raegan na jaenge
unhin charaghon se raushan mohabbaten hongi
teri ada mein hai inkar bhi ijazat bhi
jo hum milenge to duri na qurbaten hongi
amal durust karen apne rahnumae-kiram
kahunga saf to sab ko shikayaten hongi
hum un ke samne sach bolne ke mujrim hain
hamin pe waqt ki sari inayaten hongi
hamein to apne masail ka hal bhi hai darkar
tumhaare pas to KHali bashaaraten hongi
wahan pe qafile bhaTkenge tai hai ye 'manzar'
jahan usul se KHali qayaadaten hongi
abhi to qaid hain jazbon ki aandhiyan dil mein
hamara sabr jo toDa qayamaten hongi
Ghazal
Watan-nasib kahan apni qismaten hongi
Manzar Bhopali