wasl o fasl ki har manzil mein shamil ek majburi thi
tujh se milte to kya milte KHud se bhi mahjuri thi
wasl ke sare lamhe jhuTe milna qarz-e-judai tha
sath hamare pahlu-ba-pahlu qurb ke bhes mein duri thi
aahon ki tamiren ki thin sabr ke bagh lagae the
shahr-e-wafa mein mehnat-e-jaan ki roz nai mazduri thi
baaten lakhon kuchh bhi kahiye lekin us ke baad ye fikr
jaane kya kahna bhule hain koi baat zaruri thi
qissa chheDa mehr o wafa ka awwal-e-shab un aaankhon ne
raat kaTi aur umr guzari phir bhi baat adhuri thi
baad mein kya anjam hua ye aage paDhne wale bataen
us ki kitab-e-dildari ki pahli jild to puri thi

Ghazal
Wasl o fasl ki har manzil mein shamil ek majburi thi
Saleem Ahmed