wasl mein raftar-e-mashuqana dikhlati hai nind
aaj kin aTkheliyon se aankhon mein aati hai nind
yaad-e-chashm-e-surmagin mein shab ko gar aati hai nind
surat-e-murgh-e-nigah aankhon se uD jati hai nind
furqat-e-dildar mein sahwan agar aati hai nind
aankh se bahar hi bahar aa ke phir jati hai nind
ain be-hoshi hai hushyari na samjha chahiye
ahl-e-ghaflat ki to bedari bhi kahlati hai nind
karwaTen le le ke kahte hain shab-e-furqat mein hum
kis tarah ai KHuftagan-e-KHak aa jati hai nind
in ki furqat mein na puchho sarguzisht-e-KHwab-e-chashm
aaj-kal pa-e-nigah ki Thokaren khati hai nind
sabza-e-KHwabida-e-gulshan ka jab aata hai zikr
tab qafas mein koi dam bulbul ko aa jati hai nind
furqat-e-dildar mein sone ko marna kahte hain
aashiqon mein KHwab-e-marg aise hi kahlati hai nind
nind ko bhi nind aa jati hai hijr-e-yar mein
chhoD kar be-KHwab mujh ko aap so jati hai nind
kahte hain sona use chaunka na roz-e-hashr tak
is hamari baKHt-e-KHufta ki qasam khati hai nind
kya ghalat samjhe wo aaega phaDakti hai jo aankh
aankh mein KHauf-e-shab-e-furqat se tharraati hai nind
furqat-e-dildar mein jo raat bhar aai na thi
wasl mein aati hui aankhon sharmati hai nind
muntazir rakhti hai ghamze karti hai aati nahin
o but-e-tarsa teri furqat mein tarsati hai nind
ku-e-jaanan se jo uThta hun to so jate hain panw
dafatan aankhon se panw mein utar aati hai nind
garmi-e-soz-e-jigar betab kar deti hai jab
ThanDi sansen aisi bharta hun ki aa jati hai nind
tegh ka phal khaya aab-e-tegh pi kar so rahe
kasrat-e-ab-o-ghiza se waqai aati hai nind
surat-e-zahid na jago hazrat-e-dil so raho
qibla-e-man kaba-e-maqsud dikhlati hai nind
is meri diwangi par ai junun patthar paDen
aankh ke Dhele lagata hun agar aati hai nind
wah re tasir-e-ulfat bal be-fart-e-ittihad
ghash pe ghash aate hain mujh ko jab unhen aati hai nind
sote ho to chashm-e-baddur aankhen rahti hain khuli
fitna-e-bedar kya aise hi kahlati hai nind
hijr mein sone ki aisi hi tamanna ai 'wazir'
dekhta hun us ko hasrat se jise aati hi nind
Ghazal
Wasl mein raftar-e-mashuqana dikhlati hai nind
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

