wasl mein bigDe bane yar ke aksar gesu
uljhe suljhe meri taqdir se shab bhar gesu
main na manunga ye zulmat use kis din ho nasib
ho gae honge sharik shab-e-mahshar gesu
kahne sunne se agar wasl hua bhi to kya
zid se baiThe wo banaya kiye shab bhar gesu
chahte hain ki pareshan pas-e-murdan bhi rahun
khol dete hain meri gor par aa kar gesu
uD chala aur bhi wo rashk-e-pari-zadan se
ban gae husn ke parwaz ko shahpar gesu
aarzu hai ki shab-e-qadr ho ya sham-e-ummid
kuchh dikhae na KHuda tere dikha kar gesu
ye bhi taqdir ke hain pech wagarna 'taslim'
mujh sa aazad ho paband-e-moambar gesu
Ghazal
Wasl mein bigDe bane yar ke aksar gesu
Amirullah Tasleem