wasl kiya hai shama jala kar
parwane ko rakh bana kar
kabhi talab na panw sameTe
chhoTi paD jae har chadar
wo kya chain se soya hoga
meri nind ko pankh laga kar
main to sab kuchh bhul chuka hun
tu bhule to baat barabar
diwaron ki tanhai ko
dur karun taswir laga kar
Ghazal
Wasl kiya hai shama jala kar
Prem Bhandari

