wasl ki un buton se aas nahin
ki Tike dakshina ko pas nahin
imtihan-e-wafa pe karb-e-firaq
pas hain hae aur pas nahin
nafs ko mar kar mile jannat
ye saza qabil-e-qayas nahin
dam mein ye aana aur jaana kya
aap insan hain kuchh hawas nahin
KHauf-e-viran hua hai KHana-e-dil
aas kaisi ki yan to yas nahin
kabe mein ja ke kya karen zahid
wan ki aab-o-hawa hi ras nahin
shairi hai meri ki sehr-e-halal
bhala kah den to haq-shanas nahin
paun kis se mazaq-e-sher ki dad
aaj 'faizi'-o-'kalidas- nahin
jam-e-KHurshid mein hai aab-e-hayat
ram-rangi ka ye gilas nahin
'kaifi' aur jam-e-baada se inkar
tum ko kuchh nam ka bhi pas nahin
Ghazal
Wasl ki un buton se aas nahin
Dattatriya Kaifi