wasl ki ummid baDhte baDhte thak kar rah gai
subh-e-kazib aur kya karti chamak kar rah gai
dil shab-e-gham kaT laya dam hua lekin hawa
ek kali thi jo sahar hote mahak kar rah gai
na-shanas-e-ru-e-KHush-haali hai tab-e-gham-nasib
jab masarrat samne aai jhijak kar rah gai
mujh ko jalne de abhi ai maut kyun duniya kahe
aag kaisi thi jo sine mein bhaDak kar rah gai
koi kya dekhe bahaar-e-ru-e-qatil baad-e-zabh
kyun khule wo aankh jo hasrat se tak kar rah gai
mere dil ke zaKHm aur un ki shamatat dekhiye
hans diye kisht-e-tamanna jab lahak kar rah gai
kya tamanna thi ye betabi jise rukna paDa
tang tha sehan-e-qafas bulbul phaDak kar rah gai
log kahte hain khula tha raat bhar bab-e-qubul
kis taraf meri dua 'saqib' bhaTak kar rah gai

Ghazal
Wasl ki ummid baDhte baDhte thak kar rah gai
Saqib Lakhnavi