wasl ki shab mein bhi hum baham digar roya kiye
main judai se wo mere haal par roya kiye
us ne zanu ghair ka apne rakha jab zer-e-sar
apne zanu par hum apna rakh ke sar roya kiye
us ne aansu ghair ke ponchhe jab apne hath se
ham-nashin ye majra hum dekh kar roya kiye
ho gaya mushkil meri mizhgan se mizhgan ka milap
hail ek dariya hua hum is qadar roya kiye
surKH-ru be-abrui mein bhi hum 'sanat' rahe
KHushk jab aansu hue laKHt-e-jigar roya kiye

Ghazal
Wasl ki shab mein bhi hum baham digar roya kiye
Karimuddin Sanat Moradabadi