wasl ki shab bhi KHafa wo but-e-maghrur raha
hausla dil ka jo tha dil mein ba-dastur raha
umr-e-rafta ke talaf hone ka aaya to KHayal
lekin ek dam ki talafi ka na maqdur raha
jama kis din na hue mausam-e-gul mein mai-kash
roz hangama tah-e-saya-e-angur raha
gardish-e-baKHt kahan se hamein lai hai kahan
manzilon wadi-e-ghurbat se watan dur raha
rast-bazi kar agar namwari hai darkar
dar se KHalq mein aawaz-e-mansur raha
wo to hai charKH chahaarum pe ye pach mohalle par
sach hai isa se bhi baala tera mazdur raha
fasl-e-gul aai gai sehn-e-chaman mein sau bar
apne sar mein tha jo sauda wo ba-dastur raha
jalwa-e-barq-e-tajalli nazar aaya na kabhi
muddaton ja ke wahan mein shajar-e-tur raha
zulf o ruKH donon hain jaane se jawani ke KHarab
mushk wo mushk na kafur wo kafur raha
ghol-e-sahra ne mera sath na chhoDa shab bhar
le ke mashal kabhi nazdik kabhi dur raha
hum bhi maujud the kal mahfil-e-jaanan mein 'amir'
raat ko der talak aap ka mazkur raha
Ghazal
Wasl ki shab bhi KHafa wo but-e-maghrur raha
Ameer Minai