wasl ki raat mein hum raat mein bah jate hain
wasl kab karte hain jazbaat mein bah jate hain
aab-ju hum hain pa dariya ke hamare sabhi KHwab
radd-e-tabir ki barsat mein bah jate hain
bar bar aate hain hum apne hamal mein lekin
shahr ki sazish-e-isqat mein bah jate hain
jism ke apne bhi jadu hain pa kachche hain abhi
ruh ki mashq-e-tilismat mein bah jate hain
tah-e-dariya-e-karam der se khulti hai so hum
upar upar ki inayat mein bah jate hain
KHatm-e-majlis pe na aaya kabhi rona hum ko
sare aansu to shuruat mein bah jate hain
Ghazal
Wasl ki raat mein hum raat mein bah jate hain
Farhat Ehsas