wasl ki raat hai aaKHir kabhi uryan honge
main pasheman hun to kya wo na pasheman honge
aap mar jaunga tu aa ki na aa o zalim
aaj wo din hai ki mujh par mere ehsan honge
ghair ki shakl banenge kabhi KHud un ka shauq
hum bhi dekhen to kahan tak na wo pursan honge
dil jo ruTha to manane se kahin manta hai
ye sitam bais-e-hasrat tujhe ai jaan honge
aaj bahrup adu ka hai banaya main ne
ab to wo bhi mere andaz pe qurban honge
un ko pahnenge mere dasht-e-junun ke kanTe
ye wo daman hain ki aaKHir ko gareban honge
barhami duri-e-jaanan mein unhen hogi 'nasim'
mere nale asar-e-fikr-e-ghazal-KHwan honge
Ghazal
Wasl ki raat hai aaKHir kabhi uryan honge
Naseem Dehlvi