wasl ke lamhe kahani ho gae
shab ke moti subh pani ho gae
rafta rafta zindagani ho gae
gham ke lamhe jawedani ho gae
daulat-e-ahd-e-jawani ho gae
chand lamhe jo kahani ho gae
kaisi kuchh ranginiyan thin jin se hum
mahw-e-sair-e-dahr-e-fani ho gae
sukh bhare dukh dukh bhare sukh sab ke sab
waqiat-e-zindagani ho gae
muskurae aap jaane kis liye
hum rahin-e-shadmani ho gae
baaton hi baaton mein raaten uD gain
hae wo din bhi kahani ho gae
tum ne kuchh dekha KHulus-e-jazb-e-shauq
sang-reze gul ke pani ho gae
'farhat' aisi but-parasti ke nisar
but bhi mahw-e-lan-tarani ho gae
Ghazal
Wasl ke lamhe kahani ho gae
Farhat Kanpuri