wasl ke din ka ishaara hai ki Dhal jaunga
dil ye kahta hai ki qabu se nikal jaunga
aatish-e-ishq baDhi jati hai baiTho dam-bhar
garm-raftar rahoge to main jal jaunga
intizar aap ka aisa hai ki dam kahta hai
nigah-e-shauq hun aankhon se nikal jaunga
dil se kahta hai shab-e-wasl yahi shauq-e-visal
main wo arman nahin hun ki nikal jaunga
saikDon zaKHm lagenge na haTunga qatil
shajar-e-bagh-e-mohabbat hun main phal jaunga
ahd-e-tifli se ye kahta tha mizaj-e-jaanan
dekh lena ki jawani mein badal jaunga
tifl-e-ashk aankh tak aata hai ye kahta hai 'rashid'
mujh ko mardum ne jo roka to machal jaunga
Ghazal
Wasl ke din ka ishaara hai ki Dhal jaunga
Rasheed lakhnavi