اردو हिंदी
Wasl bhi hijr tha visal na tha | Shaahi Shayari
wasl bhi hijr tha visal na tha

Ghazal

Wasl bhi hijr tha visal na tha

Yashab Tamanna

;

wasl bhi hijr tha visal na tha
mil rahe the magar KHayal na tha

mil rahe the ki donon tanha the
guftugu mein bhi qil-o-qal na tha

mere aur us ke darmiyan abhi
koi bhi silsila bahaal na tha

raste KHatm ho chuke the magar
wapsi ka koi sawal na tha

ye bhi ek marhala tamam hua
ho gae the juda malal na tha

wo tera husn ho ki ishq mera
koi paband-e-mah-o-sal na tha