اردو हिंदी
Wasl banne ka kuchh banaw nahin | Shaahi Shayari
wasl banne ka kuchh banaw nahin

Ghazal

Wasl banne ka kuchh banaw nahin

Jurat Qalandar Bakhsh

;

wasl banne ka kuchh banaw nahin
wan laga dil jahan lagaw nahin

panw kyun dabne nahin dete
gar kisi ka tumhein dabaw nahin

zaKHm-e-dil ka ilaj kya kije
qabil-e-marham apna ghaw nahin

aise dariya mein bah chale hain ki aah!
jis mein Tapu nahin hai naw nahin

hai bahut jalwa-gah-e-yar buland
dekhen kya yan se kuchh dikhaw nahin

bal be teri sajawaTen allah
kuchh qayamat hai ye banaw nahin

dastaras wan zara nahin aur hae
dil mein kya kya hamare chaw nahin

le ke dil yun kahe hai chitwan mein
ab meri bazm mein tum aao nahin

dard-e-pinhan se ji hi nikle hai
kya kahen tum se kuchh chhupaw nahin

gar safar ko sidhaare ho to aao
ja ke wan chhawni tu chhaw nahin

kyunki 'jurat' lagaen hum lagga
ki farishte ka wan lagaw nahin

aur to aur chori chori se
baat kar lene ka bhi daw nahin