wasf-e-jamal-e-zauq hai ahl-e-nigah ka
hairat kahun ki shor kahun wah wah ka
ahl-e-junun pe zulm hai pabandi-e-rusum
jada hamare waste kanTa hai rah ka
rakhta hai talKH-kaam gham-e-lazzat-e-jahan
kya kijiye ki lutf nahin kuchh gunah ka
kya kuchh janab-e-shaiKH ki niyyat se tha baid
mauqa bhi duKHt-e-raz ne diya ho gunah ka
ai barq kab se ek nazar-e-garm ke liye
aatash-bajaan hai dasht mein tinka giyah ka
hangama-e-hayat se lena to kuchh nahin
han dekhte chalo ki tamasha hai rah ka
main hasil-e-nazar hun tamanna-e-did mein
leta hun kaam har bun-e-mu se nigah ka
'natiq' gila-pasand hai tu gham-jafa-pasand
ai dad-KHwah kaam hai be-dad-KHwah ka
Ghazal
Wasf-e-jamal-e-zauq hai ahl-e-nigah ka
Natiq Gulavthi