waraq waraq tujhe tahrir karta rahta hun
main zindagi teri tashhir karta rahta hun
bahut aziz hai mujh ko masafaton ki thakan
safar ko panw ki zanjir karta rahta hun
musawwiron ko hai zom-e-musawwiri lekin
main apni zist ko taswir karta rahta hun
main saunp deta hun har raat apne KHwabon ko
har ek subh ko tabir karta rahta hun
sipar banata hun lafzon ko sher mein lekin
qalam ko apne main shamshir karta rahta hun
hazar aib KHud apne hi nam mein likh kar
main teri rae hama-gir karta rahta hun
wo meri fikr mein badle ka zahr gholta hai
magar main zahr ko iksir karta rahta hun
main shahr shahr bhaTakta hun aur rozana
KHud apni zat ki tamir karta rahta hun
likhe hain hisse mein mere 'rais' sannaTe
nawa-e-waqt ki tasKHir karta rahta hun

Ghazal
Waraq waraq tujhe tahrir karta rahta hun
Raeesuddin Raees