waraq hai mere sahife ka aasman kya hai
raha ye chand to shayad tumhaara chehra hai
jo puchhta tha meri umr us se kah dena
kisi ke pyar ke mausam ka ek jhonka hai
simaT gaya tha andheron ko dekh kar lekin
sahar ke sath mere raste mein bikhra hai
jise bachata raha tha main aabru ki tarah
wo lamha aaj meri muTThiyon se phisla hai
faza ki shaKH pe lafzon ke phul khilne do
jise sukut samajhte ho zard patta hai
abhi to mere gareban mein hai teri KHushbu
tere badan pe abhi mera nam likkha hai
har ek shaKHs ko ummid bas usi se hai
hamare shahr mein wo ek hi to ruswa hai
Ghazal
Waraq hai mere sahife ka aasman kya hai
Ali Abbas Ummeed