waqt to waqt hai rukta nahin ek pal ke liye
ho wahi baat jo qaem bhi rahe kal ke liye
munsif-e-waqt haqiqat hai haqiqat hai KHuda
KHauf lazim hai bahar-taur har ek hal ke liye
ai meri KHwahish-e-tahsil sujha de mujh ko
koi rasta dar-e-imkan-e-muqaffal ke liye
main samundar hun KHamoshi pe na jaana meri
mujtama karta hun taqat ko baDi chhal ke liye
tarbiyat KHun mein rach jae to tab hota hai
warna aasan nahin jaana kisi karbal ke liye
'sad' Darta hun agar main to bas ek KHwahish se
wo jo kar de na barahna tujhe maKHmal ke liye

Ghazal
Waqt to waqt hai rukta nahin ek pal ke liye
Saadullah Shah