اردو हिंदी
Waqt se pahle hui sham gila kis se karun | Shaahi Shayari
waqt se pahle hui sham gila kis se karun

Ghazal

Waqt se pahle hui sham gila kis se karun

Rumana Rumi

;

waqt se pahle hui sham gila kis se karun
rah gae kitne mere kaam gila kis se karun

apni nakaam tamanna ka sabab main to na thi
aa gaya mujh pe hi ilzam gila kis se karun

dil hirasan hai bahut dekh ke anjam-e-wafa
ai meri hasrat-e-nakaam gila kis se karun

ab to wo mujh se milata hi nahin apni nazar
ab chhalakte hi nahin jam gila kis se karun

mere qadmon ne mera sath kahan chhoD diya
manzil-e-shauq thi do-gam gila kis se karun

hijr ka rog bhi ruswai bhi pai 'rumi'
puchh mat ishq ka anjam gila kis se karun