waqt par aate hain na jate hain
roz iqrar bhul jate hain
wo jo be-wajh muskuraate hain
saikDon wahm dil mein aate hain
ashk-e-hasrat nikal ke daman mein
jaan se hath dhoe aate hain
jab tum aate nahin ho wade par
malak-ul-maut ko bulate hain
so gaya baKHt jab se ro ro kar
sare ham-sayon ko jagate hain
un ko sharm-o-haya nahin aati
dil chura kar nazar churaate hain
be-KHata hai wo aasman mujrim
is ko ilzam kyun lagate hain
jaan kar ban gae hain hum bhole
chuTkiyon mein kise uDate hain
tere kuche mein hum bhi ab thak kar
dil ke manind baiThe jate hain
ghair kya aur us ki hasti kya
aap kyun muft KHauf khate hain
koi taza sitam kiya ijad
dekh kar wo jo muskuraate hain
aag pani mein kyun lagate ho
nek jo log hain bujhate hain
tum mere dil mein ho to dekhun main
hur o ghilman kahin samate hain
main ne puchhi jo wajh-e-qatl kaha
Thahro dam le ke hum batate hain
ishq tere tufail duniya ke
tanzen sunte hain tane khate hain
be-sabab kya bigaDne ka bais
aap 'parwin' ko bhi banate hain
Ghazal
Waqt par aate hain na jate hain
Parveen Umm-e-Mushtaq