waqt ne rang bahut badle kya kuchh sailab nahin aae
meri aankhen kab viran huin kab tere KHwab nahin aae
dil sahra ka wo tishna-lab har bar yahi socha jis ne
mumkin hai ki aage dariya ho aur koi sarab nahin aae
hum log kyun itne pareshan hain kis baat par aaKHir nalan hain
kya sari bahaaren ruTh gain kya ab ke gulab nahin aae
tum qurb ki rahat kya samjho tum hijr ki wahshat kya jaano
tum ne wo raat nahin kaTi tum par wo azab nahin aae
pahle bhi jahan par bichhDe the wahi manzil thi is bar magar
wo bhi be-laus nahin lauTa hum bhi be-tab nahin aae
ye bazm-e-'hilal' hai KHub magar jab tak na sunaen aap ghazal
chehron ke gulab nahin mahken mahfil pe shabab nahin aae
Ghazal
Waqt ne rang bahut badle kya kuchh sailab nahin aae
Hilal Fareed