waqt ne ek nazar jo Dali hai
phul ki tazgi chura li hai
aaj bhi us ne sham se pahle
dhup diwar se uTha li hai
ab hawa chiKHti phire shab bhar
shahr to sham hi se KHali hai
maut bhi is liye nahin aati
zindagi zindagi se KHali hai
hai mulaqat us se KHwabon mein
aur ye taswir bhi KHayali hai
ham-safar bhi naya bana lenge
rahguzar jab nai bana li hai
aaina gard se aTa hai 'nawed'
aur be-chehragi misali hai
Ghazal
Waqt ne ek nazar jo Dali hai
Seeman Naved