waqt ki tez-rawi dekh ke Dar jate hain
log jite hain kuchh is tarah ki mar jate hain
zindagani teri azmat ko baDhane wale
muskuraate hue maqtal se guzar jate hain
bazm-e-yaran ho ki dasht-e-shab-e-tanhai ho
zaKHm bharne pe jab aate hain to bhar jate hain
ye shab-o-roz bhi auraq-e-pareshan ki tarah
barha waqt ki aandhi mein bikhar jate hain
kitni yaadon se ulajhti hai meri tanhai
kitne tufan mere sar se guzar jate hain
dur rah kar bhi kabhi shikwa-e-duri na raha
aap hi aap hain jis samt jidhar jate hain
apni palkon pe sajae hue ashkon ke charagh
kuchh to kahiye ki 'rais' aap kidhar jate hain
Ghazal
Waqt ki tez-rawi dekh ke Dar jate hain
Raees Akhtar

