waqt ki tarah tere hath se nikle hue hain
hum sitare hain magar raat se nikle hue hain
KHamushi hum pe giri aaKHiri miTTi ki tarah
aise chup hain ki har ek baat se nikle hue hain
hum kisi zoam mein naraaz hue hain tujh se
hum kisi baat pe auqat se nikle hue hain
ye mera gham hai mere dost magar tu ye samajh
ashk to shiddat-e-jazbaat se nikle hue hain
hum ghulami ko muqaddar ki tarah jaante hain
hum teri jit teri mat se nikle hue hain

Ghazal
Waqt ki tarah tere hath se nikle hue hain
Nadeem Bhabha