waqt ki nakaamiyan hain aur kya
fasle ab darmiyan hai aur kya
puchhta hasil zamana ishq ka
chahaton mein duriyan hain aur kya
kyun sabhi mein DhunDte ho KHubiyan
KHubsurat KHamiyan hain aur kya
samne dekha na pichhe ro diye
aisi bhi majburiyan hain aur kya
tishnagi-e-ishq ho be-intiha
jhuT sab dushwariyan hain aur kya
jaan kar anjaan sa ho baiThna
is mein hi aasaniyan hain aur kya
ab to us ke bhi na apne hi rahe
umr-bhar KHamoshiyan hain aur kya

Ghazal
Waqt ki nakaamiyan hain aur kya
Monika Singh