waqt ki dastaras se bahar hun
main nae qafiye ka masdar hun
mujh ko is par sochne wale
main tere samne ka manzar hun
ye abhi tak nahin khula mujh par
ghar mein hote hue bhi be-ghar hun
mujh ko aankhen pasand aati hain
main kisi sham ka muqaddar hun
main qalandar mizaj hun 'rahil'
dasht ki KHamushi ka mazhar hun

Ghazal
Waqt ki dastaras se bahar hun
Rahil Bukhari