اردو हिंदी
Waqt ke tufani sagar mein krodh kapaT ke rele hain | Shaahi Shayari
waqt ke tufani sagar mein krodh kapaT ke rele hain

Ghazal

Waqt ke tufani sagar mein krodh kapaT ke rele hain

Afzal Parvez

;

waqt ke tufani sagar mein krodh kapaT ke rele hain
lekin aas ke manjhi har lahza maujon se khele hain

pag pag kanTe manzilon sahra koson jangal bele hain
safar-e-zist kaThin hai yaro rah mein lakh jhamele hain

alakh jamae dhuni ramae dhyan lagae rahte hain
pyar hamara maslak hai hum prem-guru ke chele hain

rahzanon se ghabra kar sab sathi sangat chhoD gae
aur pur-KHauf Dagar par garm-e-safar hum aaj akele hain

husn ki daulat us ki hai aur wasl ki ishrat bhi us ki
jis ne pal pal hijr mein kaTa jaur sahe dukh jhele hain

bazi-gah-e-dar-o-rasan mein mai-kada-e-fikr-o-fan mein
hum rindon se raunaq hai hum durweshon se mele hain

jiwan ki komal abla ka swayamwar rachne wala hai
aao sala-e-am hai sab ko jitne bhi albele hain