اردو हिंदी
Waqt ke taqazon ko is tarah bhi samjha kar | Shaahi Shayari
waqt ke taqazon ko is tarah bhi samjha kar

Ghazal

Waqt ke taqazon ko is tarah bhi samjha kar

Mohsin Bhopali

;

waqt ke taqazon ko is tarah bhi samjha kar
aaj ki gawahi par mat qayas-e-farda kar

tere har rawayye mein bad-gumaniyan kaisi
jab talak hai duniya mein e'tibar-e-duniya kar

jis ne zindagi di hai wo bhi sochta hoga
zindagi ke bare mein is qadar na socha kar

harf o lab se hota hai kab ada har ek mafhum
be-zaban aankhon ki guftugu bhi samjha kar

ek din yahi aadat tujh ko KHun rulaegi
tu jo yun parakhta hai har kisi ko apna kar

ye badalti qadren hi hasil-e-zamana hain
bar bar mazi ke yun waraq na ulTa kar

KHun rulaenge manzar mat qarib aa 'mohsin'
aaina-kada hai dahr dur se tamasha kar