waqt ke hathon hikayat-e-ana bhul gae
hum wafa bhul gae aap jafa bhul gae
kis ko samjhaen ye samjhane ki baaten kab hain
wasl kab yaad raha hijr mein kya bhul gae
kya chaman chhoDa palaT kar nahin dekha us ko
rang-e-gul bu-e-saman baad-e-saba bhul gae
bujh gai sham-e-junun luT gai bazm-e-yaran
ahl-e-dil sozish-e-jaan hoti hai kya bhul gae
aisa viran hua kaba-e-hasti ya-rab
rah gae hath uThe harf-e-dua bhul gae
husn sarshaari-e-andaz-o-ada se guzra
aur sab ahl-e-wafa rasm-e-wafa bhul gae
kam-ayari ne KHuda-soz banaya aisa
but to sab yaad rahe ek KHuda bhul gae
kaun soche bhala kyun dil nahin paband-e-namaz
jab sar-e-sham azanon ki sada bhul gae
shahr jaanan mein nahin puchhne wala koi
kaun ho aae ho kyun tum yahan kya bhul gae
KHub! 'sarwar' tumhein ummid-e-karam yaad rahi
kya sitam hai ki gunahon ki saza bhul gae
Ghazal
Waqt ke hathon hikayat-e-ana bhul gae
Sarwar Alam Raz