waqt ke chehre pe chaDhti dhup ka ghaza laga
kuchh mere rang-e-suKHan ka is se andaza laga
ek lafz-e-kun amin-e-alam-e-imkan hazar
ek ek lamhe se to sadiyon ka andaza laga
TuT jata hun shikasta aaine ko dekh kar
jab kabhi KHud se mila hun zaKHm ek taza laga
ek na ek aaseb chupke se abhi dar aaega
band kar ghar ke dariche lakh darwaza laga
sochta kya hai muqaddar aazmana shart hai
khul hi jaega daricha koi aawaza laga
chilchilati dhup ki nazron ne taka hai wahin
sabz Tahni par agar ek phul bhi taza laga
ijz ejaz-e-suKHan hai mani-e-ijad-e-fan
qimat-e-arz-e-hunar ka kuchh to andaza laga
Ghazal
Waqt ke chehre pe chaDhti dhup ka ghaza laga
Mukhtar Shameem