waqt ka kuchh ruka sa dhaara hai
tum ne shayad mujhe pukara hai
tum na aaoge ye bhi hai malum
chand yaadon ka bas sahaara hai
un ki yaadon ke chand phulon se
chaman-e-taza dil hamara hai
aaj hum ne to de ke jaan apni
zindagi tera qarz utara hai
un ki nazron ne zaKHm-e-dil ko mere
mundamil kar ke phir ubhaara hai
log kahte hain us ko bhi shabnam
sar-e-mizhgan jo ek sitara hai
phir bhi hasil sukun nahin 'aslam'
umr bhar hasraton ko mara hai
Ghazal
Waqt ka kuchh ruka sa dhaara hai
Aslam Azad