اردو हिंदी
Waqt jaisa hai ba-har-taur guzar jaana hai | Shaahi Shayari
waqt jaisa hai ba-har-taur guzar jaana hai

Ghazal

Waqt jaisa hai ba-har-taur guzar jaana hai

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

;

waqt jaisa hai ba-har-taur guzar jaana hai
aaj jo zinda haqiqat hai kal afsana hai

kab jali sham-e-tamanna hamein kuchh yaad nahin
itna malum hai jal kar use bujh jaana hai

meri wahshat ne abhi panw nikale bhi na the
dil-e-be-tab ne zid ki mujhe ghar jaana hai

wa agar bab-e-murawwat ko nahin hai hona
aaj hi kah den jo kal aap ko farmana hai

gardish-e-waqt ka ye jabr hai shayad jo log
subh zinda hain magar sham ko mar jaana hai

chashm-e-bina pe lagi tohmat nazzara yunhi
had-e-idrak talak tar-e-nazar jaana hai

gharq hona na kahin KHwab-e-faramoshi mein
munh andhere hi tumhein 'rahi' agar jaana hai