اردو हिंदी
Waqt hi kam tha faisle ke liye | Shaahi Shayari
waqt hi kam tha faisle ke liye

Ghazal

Waqt hi kam tha faisle ke liye

Ziya Mazkoor

;

waqt hi kam tha faisle ke liye
warna main aata mashware ke liye

tum ko achchhe lage to tum rakh lo
phul toDe the bechne ke liye

ghanTon KHamosh rahna paDta hai
aap ke sath bolne ke liye

saikaDon kunDiyan laga raha hun
chand baTanon ko kholne ke liye

ek diwar bagh se pahle
ek dupaTTa khule gale ke liye

tark apni falah kar di hai
aur kya ho muashare ke liye

log aayat paDh ke sote hain
aap ke KHwab dekhne ke liye

ab main raste mein leT jaun kya
jaane walon ko rokne ke liye