waqt-e-ruKHsat shabnami saughat ki baaten karo
zikr ashkon ka karo barsat ki baaten karo
apni miTTi ka bhi tum par haq hai samjho to sahi
chand suraj ki nahin zarraat ki baaten karo
KHun-e-insan se hui hai subh jis ki dagh-dar
chand hi lamhe sahi us raat ki baaten karo
kab talak uljhi rahegi zulf-e-jaanan mein ghazal
dosto kuchh aaj ke haalat ki baaten karo
mausam-e-gul mein agar karni hon kuchh baaten 'wali'
phul ki KHushbu ki aur naghmat ki baaten karo
Ghazal
Waqt-e-ruKHsat shabnami saughat ki baaten karo
Waliullah wali