waqt-e-ruKHsat chalte chalte kah gae
ab jo arman rah gae so rah gae
jald-baz arman tere didar ke
KHun ho kar aansuon mein bah gae
umr bhar socha kiye samjhe na hum
aankhon aankhon mein wo kya kya kah gae
kya chhupata hai mera haal ai tabib
kahne wale mere munh par kah gae
us ki manzil tak na pahuncha ek bhi
sab musafir raste mein rah gae
pahle 'natiq' dil jigar mein dard tha
ab sarapa dard ban kar rah gae
Ghazal
Waqt-e-ruKHsat chalte chalte kah gae
Natiq Lakhnavi