اردو हिंदी
Waqt-e-ruKHsat aa gaya dil phir bhi ghabraya nahin | Shaahi Shayari
waqt-e-ruKHsat aa gaya dil phir bhi ghabraya nahin

Ghazal

Waqt-e-ruKHsat aa gaya dil phir bhi ghabraya nahin

Parveen Shakir

;

waqt-e-ruKHsat aa gaya dil phir bhi ghabraya nahin
us ko hum kya khoenge jis ko kabhi paya nahin

zindagi jitni bhi hai ab mustaqil sahra mein hai
aur is sahra mein tera dur tak saya nahin

meri qismat mein faqat durd-e-tah-e-saghar hi hai
awwal-e-shab jam meri samt wo laya nahin

teri aankhon ka bhi kuchh halka gulabi rang tha
zehn ne mere bhi ab ke dil ko samjhaya nahin

kan bhi KHali hain mere aur donon hath bhi
ab ke fasl-e-gul ne mujh ko phul pahnaya nahin