waqt-e-mushkil mein bhi honTon par hansi achchhi lagi
mere KHaliq ko meri ye bandagi achchhi lagi
Dho raha tha bas yunhi main aaj tak apna wajud
tum se mil kar mujh ko apni zindagi achchhi lagi
bas lihazan phenk kar cigaret kinare ho gaya
mujh ko nasl-e-nau ki ye sharmindagi achchhi lagi
lab tumhaare mir ki us pankhuDi ke misl hain
is liye mujh ko meri tishna-labi achchhi lagi
KHun ke rishte hue jab bhi kabhi nazr-e-ana
bhai ko mahfil mein bhai ki kami achchhi lagi
surat-o-sirat ka wo itna hasin tha imtizaj
ahl-e-danish ko meri diwangi achchhi lagi
chand urdu lafz bhi shamil the jumlon mein tere
is liye 'shaarib' unhen boli teri achchhi lagi
Ghazal
Waqt-e-mushkil mein bhi honTon par hansi achchhi lagi
Syed Iqbal Rizvi Sharib