waqt bose ke mera munh us ke lab se jun juDa
gard-e-gham hui dil mein miThi jaise shakkar ka puDa
be-ziya suraj ke phirne se ho jaise aaina
nur-e-jaan dil se gaya jun us ka ruKH mujh se muDa
kya bala pathraw thin us sang-dil ki galiyan
le gaya sara tha shisha dil ka mein liyaya tuDa
bagh mein jawe wo wahshi-chashm agar mast-e-sharab
nargis us upar nisar-e-sim-o-zar dewe uDa
in labon ke bose ke lalach mein jalta hai bahisht
sun le 'uzlat' kan dhar kahta hai huqqa guDguDa
Ghazal
Waqt bose ke mera munh uske lab se jun juDa
Wali Uzlat