waqt achchha jo mera tha pahle
har nazar ko main bhala tha pahle
ab kahin ja ke fasana samjha
us ke munh se na suna tha pahle
sirf hum hi na hue the pagal
kuchh to us ko bhi hua tha pahle
hai zamin-bos imarat itni
is ka sina bhi tana tha pahle
zindagi kha ke thapeDe bigDi
main to itna na bura tha pahle
baad mein dil se gai shirini
zahr duniya ne bhara tha pahle
dhul jab tak na haTi aankhon se
saf 'talib' na dikha tha pahle
Ghazal
Waqt achchha jo mera tha pahle
Murlidhar Sharma Talib