waqt ab sar pe wo aaya hai ki sar yaad nahin
tere diwanon ko bhi ab tera dar yaad nahin
hae wo shab jo tere wada-e-shab mein guzri
hae wo shab hai ki jis shab ki sahar yaad nahin
zindagi kaise kaTi dawar-e-mahshar ye na puchh
wo safar yaad to hai raKHt-e-safar yaad nahin
mere aamal pe jae to ye samjhunga tujhe
yaad hai daman-e-tar dida-e-tar yaad nahin
pyar se ab bhi wo takte hain mujhe par un ko
jis ne dil luT liya tha wo nazar yaad nahin
umr-bhar tham ke us shoKH ka daman roe
'soz' kya us pe hua us ka asar yaad nahin
Ghazal
Waqt ab sar pe wo aaya hai ki sar yaad nahin
Abdul Malik Soz