اردو हिंदी
Waqt aaKHir le gaya wo shoKHiyan wo bankpan | Shaahi Shayari
waqt aaKHir le gaya wo shoKHiyan wo bankpan

Ghazal

Waqt aaKHir le gaya wo shoKHiyan wo bankpan

Shayan Quraishi

;

waqt aaKHir le gaya wo shoKHiyan wo bankpan
phul se chehre the kitne aur the nazuk badan

log rakhte hain dilon mein aatish-e-bughz-o-hasad
aur phir karte hain shikwa jal raha hai tan badan

chal paDe jab jaanib-e-manzil to phir ai ham-safar
kya safar ki mushkilen kya duriyan kaisi thakan

hum nahin toDenge apna ittifaq-o-ittihad
kar chuke hain faisla ye ab sabhi ahl-e-watan

un ki sazish hai ki bas nam-e-wafa miTta rahe
meri koshish hai phale-phule wafaon ka chalan

jashn hoga phir wafa ka dosti ka ek din
phir sajegi pyar ke ehsas ki ek anjuman

jo bhi hain 'shayan' ahl-e-zarf un ko KHauf kya
un ke aage sar-nigun hain waqt ke dar-o-rasan