اردو हिंदी
Wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha | Shaahi Shayari
wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha

Ghazal

Wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha

Zaheer Siddiqui

;

wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha
wo har niwale mein danton ke bich kankar tha

alag alag the dil o zehn bad-nasibon ke
ajib baat hai har dhaD pe ghair ka sar tha

na jaane hum se gila kyun hai tishna-kaamon ko
hamare hath mein mai thi na daur-e-saghar tha

lahuluhan hi kar deta pa-e-laghzish ko
subut deta ki wo raste ka patthar tha

bahut hi KHub tha wo indimal se pahle
ki zaKHm-e-taza to dagh-e-siyah se behtar tha

qarib KHatm tha gulshan ka karobar 'zahir'
rag-e-gulu ko magar intizar-e-KHanjar tha