wajud miT gaya parwanon ke sambhalne tak
dhuan hi uThta raha shama ke pighalne tak
kise nasib hui us ke jism ki KHushbu
wo mere sath raha rasta badalne tak
agar charag ki lau par zaban rakh deta
zaban jalti bhi kab tak charag jalne tak
jahan bhi Thahroge ruk jaega tumhaara wajud
tumhaare sath chalega tumhaare chalne tak
abhi se rah mein nazren bichha ke mat baiTho
palaT ke aaega wo aaftab Dhalne tak
hawa ka kya hai na jaane ye kab badal jae
badal chukega zamana tere badalne tak
sukun kis ko mila zindagi ki rahon mein
ghubar uThta raha qafila nikalne tak
Ghazal
Wajud miT gaya parwanon ke sambhalne tak
Swaleh Nadeem