wajud-e-barq zaruri hai gulistan ke liye
payam lati hai tamir aashiyan ke liye
azal se ta-ba-qayamat sukun nahin milta
mere nasib ki gardish hai aasman ke liye
ye aur baat hai phulon ka tang daman hai
bahaaren phirti hain betab gulistan ke liye
na puchh haal-e-dil-e-zar ham-nashin mujh se
kaleja chahiye patthar ka raazdan ke liye
mera aur un ka talluq hai is tarah jaise
zaban dahan ke liye hai dahan zaban ke liye
meri jabin se tera aastan na chhuTega
ki ye bani hai tere sang-e-astan ke liye
ghazab hua unhin tinkon pe gir paDi bijli
jinhen sambhaal ke rakkha tha aashiyan ke liye
teri talab mein phiraata hai mujh ko dasht-ba-dasht
wo zauq-o-shauq jo rahbar hai karwan ke liye
KHuda ke samne jaana paDega KHali hath
ki shams' jama na kar pae kuchh wahan ke liye

Ghazal
Wajud-e-barq zaruri hai gulistan ke liye
Shams Itawi