waise tu mere makan tak tu chala aata hai
phir achanak se tere zehn mein kya aata hai
aahen bharta hun ki puchhe koi aahon ka sabab
phir tera zikr nikalta hai maza aata hai
tere KHat aaj latifon ki tarah lagte hain
KHub hansta hun jahan lafz-e-wafa aata hai
jate-jate ye kaha us ne chalo aata hun
ab yahi dekhna hai jata hai ya aata hai
tujh ko waise to zamane ke hunar aate hain
pyar aata hai kabhi tujh ko bata aata hai
Ghazal
Waise tu mere makan tak tu chala aata hai
Zubair Ali Tabish